Skip to main content

DREAM - BY ARPAN ADHIKARY

       DREAM BY - ARPAN ADHIKARY 


Hey all !!
So, this is me Arpan,
Im writing this blog just to let the future ARPAN know about the struggle's and sacrifices that he made in the initial days that are totally worth to remember them !!





                                         Presenting DREAM, by ARPAN ADHIKARY........


Boond boond se sapno ke.....
Sagar bhar diye

Dheere dheere dheere khali
Baadal kar diye....

Bankar ek din aasman mein
Taara chamkunga.....


Dekho maa aur pappa maine
Sapne saare sach kar diye....

Dekha karta tha khuli ankhon se
Sapne jaag jaag ke raaton ko,
Jod jod kismat ki lakeerein
Banata hatho ko......

Tha waqt bura jo badal diya
Aur badal diya halaton ko,
Chupa ke rakha maine har ghum apna
Aur saare jazbaton ko........

Jo negative meri soch kare
Miti mein mila diya unke baaton ko,
Mujhe kisi baat ki fikar nahi
Agar aai mera mere saath ho to.

Zero se kari thi shuruwat,
Ab stream karun main lakhon ko....


Mere aas paas bas khaas khaas
Kuch yaar dost haii,....
Baaki duniyadari se mujhko
Lena dena nahi hai...

Shuruwat se chala main
Bankar one man army,

Mere aage picche chalne waali
Sena nahin hain...

Shuruwati dino mein ek dost mila
Appy bhai hai saath ab bhi,
Kabhi mile jo tumse to poch lena
Jaise tha kal main aaj ab bhi....

Mujhe motivate kare har woh like
Dil se aap jo karte ho,
Mere friends nhi koi par mere supporters ke liye
Pyar waali jhappi ......



----------------------------------------------


Khadakpur ki hai pedaish
Aur Bhopal mein pala badha,


Log kehte the chote ghar ka ladka
Kyun dekhe sapna bada?

Din dugni raat chogni wali
Baatein sach hone lagi,
Woh jitne jalte rahe mujhse
Main utna hota gaya bada.......

Maine bura kisi ka nahi kara
Na kabhi apna hone diya,


Bhare ankhon mein aansu kayi daffa
Par khud ko kabhi naa rone diya....

Dil saaf rakha main gira nahi
Baki jo huya woh hone diya,
Main seejta raha beej ko tab tak
Jab tak sahi se boh na diya.....

Main ruka nahi badhta chala
Aag ki tarah har baar jala,
Main khud yaha tak nahi aaya
Mujhe haath pakad kar layi kala,

Uss parwa-digar ka naam liya
Na kabhi kisi ki mangi salah,
Mahadev ki drasti pade to
Banda kaise ruk jaaye bhala.....

Papa ne sikhaya shaan se jeena,
Maa ne diye mujhe sanskaar....


Niyat rakha maine saaf shudh
Vicharon ka kara na vyapaar....

Log khush nahi khud ki tarakki se
Kaise woh insaan yaar??


Unki jeet se zyada,
Shor machaye meri haar........
Haan Shor machaye meri haar.......
Shor machaye meri haar......................




All i want to say, ARPAN, you will be doing great in your life, you will be making your Mom , Dad, Sister, Teachers, Friends, and the entire world Proud. 

Remember, As you grow older, you will discover that you have two hands — one for helping yourself, the other for helping others😇

Comments